Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Jo Hijre Taiba Me Yaad Ban Kar
Teri Duaon Hi Ki Badaulath
Jo Haq Me Ummat Ke Tere Lab Par
Sawaal Aaya Kamaal Aaya.
Umar Ki Jurrat Pe Jaaun Qurban
Be Misaal Aaya Kamaal Aaya
Khayaal Aaya Kamaal Aaya.
Azaabe Rab Se Bache Hue Hain
Hain Aaj Kafir Bhi Unse Larzaan
Umar Ke Aane Se Kufr Par Jo
Zawaal Aaya Kamaal Aaya.
Chale Zameen Par Qadam Ki Aahat
Bahisht Waalon Ko De Sunaayi
Nabi Ka Pyaara Ghulaam Aisa
Bilaal Aaya Kamaal Aaya.
Nabi To Saaim Sabhi Hain Aala
Hai Rutbe Sab Ke Azeem -O- Baala
Magar Jo Aaqir Me Aamena Ka
Wo Laal Aaya Kamaal Aaya.
Ke Iss Saare Zamane Ko Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Ya Rasoolallah
Meri Qismat Jagane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai
Hazaron Gham Mitane
Ko Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Khushi Ho Ya Koi Gham Ho
Nabi Ka Naam Leta Hoon
Ke Har Ek Gham Bhulane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Ghamon Ki Dhoop Ho Ya Phir
Hawaen Tez Chalti Hon
Mere Iss Aashiyane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Nabi Ka Naam Leta Hoon
Sukoone Qalb Milta Hai
Nabi Ke Iss Diwane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Jo Poocha Kamli Waale Ne
Kaha Siddique Akbar Ne
Mere Saare Gharane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Sulagti Reth Par Habshi
Ke Honton Se Sada Aayi
Meri Bigdi Banane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Yehi Kehta Hai Shahid Bhi
Yehi Sab Log Kehte Hain
Ke Iss Saare Zamane Ko
Nabi Ka Naam Kaafi Hai.
Nabiyon Ke Nabi Ummi Laqabi