Muhammad Mustafa Aaye
Muhammad Mustafa Aaye
Muhammad Mustafa Aaye Baharon Par Bahaar Aayi
Zameen Ko Choomne Jannat Ki Khushbu Baar Baar Aayi.
Janabe Aamena Ka Chand Jab Chamka Zamane Me
Qamar Ki Chandni Qadmon Pe Hone Ko Nisaar Aayi.
Badi Mayoos Thi Dayeen Haleema Jab Gayin Makkah
Magar Aayi To Lekar Do Jahan Ka Tajdaar Aayi
Haleema Do Jahan Qurban Ho Tere Muqaddar Par
Tere Ghurbath Kade Me Rehmate Parwardigaar Aayi.
Wo Aayein To Manaadi Hogayi Saaim Zamane Me
Bahaar Aayi Bahaar Aayi Baharon Par Bahaar Aayi.
haleema saadiya ne aap ko dekha to farmaya
kahan se noor ye chamka jahan me raushni aayi
aur aap aaye to munaadi hogayi saare zamaane me
bahar aayi bahar aayi bahar aayi madine me bahaar aayi
Rabiun Noor Ki Subha Qabar Phaili Ye Makke Me
Ke Rehmath Do Jahanon Ki Hai Abdullah Ke Ghar Aayi.
Milade Mustafa Mai Na Kyun