Kabhi Aye Haqiqate Muntazir
Kabhi Aye Haqiqate Muntazir (Allama Iqbal)
Kalaam of Allama Iqbal
Kabhi Aye Haqiqate Muntazir
Nazar Aa Libase Majaaz Me
Ke Hazaaron Sajde Tadap Rahe
Hain Meri Jabeen -E- Niyaaz Me.
Tujhe Kya Milega Namaz Me.
Tera Dil To Hai Sanam Aashna
Jo Mai Sar Ba Sajda Hua Kabhi
To Zameen Se Aane Lagi Sada
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Ise
Tera Aayina Hai Wo Aayina
Ke Shikast Ho To Azeeztar
Hai Nigaahe Aayina Saaz Me.
Na Kahin Jahan Me Amaan Mili
Jo Amaan Mili To Kahan Mili
Mere Jurme Khaana Kharaab Ko
Tere Afw Banda Nawaaz Me.
Na Wo Ishq Me Rahi Garmiyaan
Na Wo Husn Me Rahi Shauqiyaan
Na Wo Ghaznawi Me Tadap Rahi
Na Wo Kham Hai Zulfe Ayaaz Me.
Kabhi Aye Haqiqate Muntazir (Allama Iqbal) (NFAK)