Sibte Khairul Anaam Moosa Raza

Sibte Khairul Anaam Moosa Raza

Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

Sibte Khairul Anaam Moosa Raza
Aathwe Hain Imaam Moosa Raza.

Lab Pe Hain Subho Shaam Moosa Raza
Aapka Pyaara Naam Moosa Raza.

Kiya Karte Hain Taalibane Haq
Aapka Ehteraam Moosa Raza.

Maikade Se Tumhare Paate Hain
Hubbe Ahmed Ke Jaam Moosa Raza.

Aapka Naam Jab Bhi Leta Hoon
Bante Hain Bigde Kaam Moosa Raza.

Haq Ta'ala Ki Aap Ko Haasil
Hai Raza -E- Dawaam Moosa Raza.

Jad Hai Tainteeswe Mere Saifi
Aala Hazrath Imaam Moosa Raza.

More from Manaqib Mix

More kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

  • Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara
  • Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib
  • Abbas Tere Dar Sa Duniya Me Dar Kahan
  • Ajmer Meri Manzil Baghdad Hai Thikana
  • Allah Muhammad Chaar Yaar
  • Ameere Hamza Ameere Hamza