Dastane Shuja'ath Ka Darain Me
Dastane Shuja'ath Ka Darain Me
Dastane Shuja'ath Ka Darain Me
Ek Be Misl Kirdaar Abbas Hai
Hai Ali Ke Atthaara Hi Bete Ali
Par Sabhi Me Alamdaar Abbas Hai.
Aisa Aala Zameendaar Abbas Hai.
Inke Lehje Me Hashim Ki Hashmath Bhi Hai
Inke Tewar Me Hamza Ki Haibath Bhi Hai
Har Adaa Inki Imran Ka Aks Hai
Inki Baahon Me Jaffer Ki Taaqat Bhi Hai
Pyaar Hai Mustafa Ka Hussain -O- Hasan
Aur Hasnain Ka Pyaar Abbas Hai.
Dakhle Azmath Ka Shireen Samar Hai Yehi
Ismaton Ke Sadaf Ke Gauhar Hain Yehi
Noor Ki Sidratul Muntaha Hain Yehi
Hashmi Aasman Ke Qamar Hain Yehi
Jinke Saaye Me Akbar Bhi Palte Rahe
Husn Ka Aisa Minaar Abbas Hai.
Hal Ataa, Innama
Ki Jo Misdaak Hain
Wo Bhi Ghaazi Ke Aane Ke Mushtaq Hain
Arsh Se Farsh Tak Inki Jageer Hai
Saari Makhlooq Inki Gadageer Hai
Jo Ali Ki Shuja'ath Ka Waris Bhi Hai
Ek Najr Karam Ki Ho Daasi Par
Tum Ho Dhanwaan Nijamuddin
Ho Ganje Shakar Ka Sadqa Ab
Mujhko Bhi Daan Nijamuddin.
Bekal Hoon Laaj Nibha Dena
Mohe Deed Ka Jaam Pila Dena
Tora Maikhana Aabad Rahe
Saaqi Sultan Nijamuddin.
Iss Paapan Me Koi Gun Hai Kahan
Tori Daasi Hoon Kar Daan Amaan
Sun Dukhiya Ki Bhi Kahani Ab
Waliyan Ki Jaan Nijamuddin.
Tore Dar Par Aan Padi Khwaja
Hai To Se Aas Badi Khwaja
Tore Baiyyan Padath Hoon Ya Khwaja
Mora Rakhiyo Dhyaan Nijamuddin.
Do Sadqa Peer Fareedan Ka
Do Sadqa Qutub Dulaare Ka
Tu Laadla Khwaja Moin Ka Hai
Rakh Lijo Maan Nijamuddin.
Tu Nabi Ka Raaj Dulaara Hai
Tu Ali Ki Aankh Ka Taara Hai
Mohe Apne Hi Rang Me Rang Lijo
Kardo Ehsaan Nijamuddin.
Sab Waliyan To Se Pyaar Karein
Tori Shaan Ka Sab Iqraar Karein
Waliyon Ka Beshak Rab Ne Kiya
Tujhko Pardhaan Nijamuddin.
Ek Najr Karam Ki Ho Daasi Par (Hz Nizamuddin Auliya R.a)
Waliyan Ka Beshak Rab Ne Kiya
Hz Baba Fareed Uddin Ganje Shakar R.a