Rangatein Kitni Chadhi Rang Tumhara

Rangatein Kitni Chadhi Rang Tumhara (Hz Saif Sharfi Rh)

Kalaam of Saif Sharfi

Rangatein Kitni Chadhi Rang Tumhara Lekar
Kya Se Kya Hogaye Ham Ek Sahara Lekar.

Tujhko Qassaam -E- Azal Se Mili Naimath Aisi
Faqr Karta Hai Jahan Tera Utaara Lekar.

Isme Aazam Ki Nihaan Hoti Hai Taseer Isme
Barhaa Dekhliya Naam Tumhara Lekar.

Shukre Haq Hogayi Sarkar Se Nisbath Hamko
Paar Utar Aayeinge Daman Ka Sahara Lekar.

Aastane Shahe Baghdad Ka Shaidayi Hoon
Kya Karun Kya Karun Jannat Ka Ijaara Lekar.

Do Jahan Me Hai Meri Laaj Faqat Haath Tere
Jeeraha Hoon Tere Daman Ka Sahara Lekar.

Darbadar Ho Na Saka Naam Tumhara Lekar.

Rangatein Kitni Chadhi Rang Tumhara (Hz Saif Sharfi Rh)