Aye Mominon Niyaaz Dilaao Imaam Ki

Aye Mominon Niyaaz Dilaao Imaam Ki

Baees Rajab Ki Ghadi Rehmaton Ki Hai
Kundon Ki Ye Niyaaz Badi Barkaton Ki Hai.

Aye Mominon Niyaaz Dilaao Imaam Ki
Baaqir Ke Laal Sahibe Aali Maqaam Ki.

Hasnain Ke Wo Laadle Jafar Hai Unka Naam
Sadiq Laqab Hai Aate Hain Duniya Me Sabke Kaam
Zahra Ke Aur Ali Ke Dulaare Wohi To Hain
Pyaare Nabi Ke Aankh Ke Taare Wohi To Hai
Unse Hi Aabru Hain Khuda Ke Kalaam Ki.

Milti Hai Iss Niyaaz Se Har Ek Ko Raahatein
Hoti Hai Door Fazle Khuda Se Musibatein
Jo Ye Niyaaz Dil Se Adab Se Dilayega
Hojayega Nihaal Muradein Wo Payega
Tadbeer Isse Banti Hai Har Bigde Kaam Ki.

Jab Ye Niyaaz Ghar Me Dilaye Koi Bashar
To Paak Saaf Kunde Wo Laaye Khareed Kar
Bharde Wo Kheer Ek Me Aur Ek Me Pooriyan
Phir Panjatan Ke Laal Ka Dil Se Kare Bayaan
Barkat Hai Unke Naam Me Maula Ke Naam Ki.

Waade Kiya Hai Hazrate Jafar Ne Mominon
Kundon Ki Ye Niyaaz Dilaata Rahega Jo
Poori Na Hosake Agar Uski Muraad To
Daman Ho Mera Hashr Me Aur Uska Haath Ho
Allah Laaj Rakhega Mere Maqaam Ki.

Aye Shahinshahe Deccan Banda Nawaz
Tum Ho Noore Panjatan Banda Nawaz.

Aye Naseeruddin Ke Noore Nazar
Tumpe Sadqe Jaan -O- Tan Banda Nawaz.

Zikr Hota Hai Tumhara Har Taraf
Anjuman Dar Anjuman Banda Nawaz.

Naam Jinka Hai Qadeere Quadri
Tumse Hai Uska Sukhan Banda Nawaz.

Aye Shahinshahe Deccan Banda Nawaz (Ismail Quadri Sahab)
Naam Jiska Hai Qadeere Quadri
Baagh Jannat Ke Hain Behre Mad'ha Khwane Ahle Bait