Peshwa -E- Atqiya Ahmed Kabeer
Peshwa -E- Atqiya Ahmed Kabeer
Kalaam of Hazrath Abdul Qadeer Siddiqui (Hasrath) R.a
Peshwa -E- Atqiya Ahmed Kabeer
Muqtada -E- Auliya Ahmed Kabeer.
Aapke Dada Hussain Ibne Ali
Aur Ali -E- Murtaza Ahmed Kabeer.
Ahmade Mursal Se Tum Kab Ho Juda
Naam -O- Rang -O- Bu Me Ya Ahmed Kabeer.
Daste Paake Mustafa Ko Aapne
Bosa Zaahir Me Diya Ahmed Kabeer.
Dast Baqsha Janibe Zambeele Maa
Mambaye Joodo Sakha Ahmed Kabeer.
Kheleinge Dhamaal Dozakh Me Faqeer
Keh Ke Ya Maulayi Ya Ahmed Kabeer.
Isme Aazam Hogaya Hazrath Ka Naam
Hogaye Aise Fana Ahmed Kabeer.
"Kun Shafee'I Inda Rabbil Aalameen"
Marhaba Ya Marhaba Ahmed Kabeer.
Naare Dozakh Kyun Na Ho Mujhpar Haraam
Aapka Hoon Aapka Ahmed Kabeer.
Khadimon Me Aapke Hasrath Bhi Hai
Ya Imaamul Asfiya Ahmed Kabeer.