Muhammad Mustafa Aaye
Muhammad Mustafa Aaye
Muhammad Mustafa Aaye Baharon Par Bahaar Aayi
Zameen Ko Choomne Jannat Ki Khushbu Baar Baar Aayi.
Janabe Aamena Ka Chand Jab Chamka Zamane Me
Qamar Ki Chandni Qadmon Pe Hone Ko Nisaar Aayi.
Badi Mayoos Thi Dayeen Haleema Jab Gayin Makkah
Magar Aayi To Lekar Do Jahan Ka Tajdaar Aayi
Haleema Do Jahan Qurban Ho Tere Muqaddar Par
Tere Ghurbath Kade Me Rehmate Parwardigaar Aayi.
Wo Aayein To Manaadi Hogayi Saaim Zamane Me
Bahaar Aayi Bahaar Aayi Baharon Par Bahaar Aayi.
Rabiun Noor Ki Subha Qabar Phaili Ye Makke Me
Ke Rehmath Do Jahanon Ki Hai Abdullah Ke Ghar Aayi.
Milade Mustafa Mai Na Kyun