Dare Nabi Par Ye Umr Beete

Dare Nabi Par Ye Umr Beete

Dare Nabi Par Ye Umr Beete
Ho Ham Pe Lutfe Dawaam Aisa(
Madine Waale Kahe Maqami
Ho Unke Dar Par Qayaam Aisa.

Bilal Tujhpar Nisaar Jaaun
Ke Khud Nabi Ne Tujhe Kharida-
Naseeb Ho To Naseeb Aisa
Ghulaam Ho To Ghulam Aisa.

Namaz Aqsa Me Jab Padhai
To Ambiya Aur Rusul Ye Bole(
Namaz Ho To Namaz Aisa
Imaam Ho To Imaam Aisa.

Labon Pe Naame Nabi Jab Aaya-
Jo Taal Deta Hai Mushkilon Ko(
Mere Nabi Ka Hai Naam Aisa.-
Kab Unke Garde Safar Ko Pohonche-
Koi Bhi Ab Tak Samajh Na Paaya(
Hai Mustafa Ka Maqaam Aisa.

Hussain Qurra Ke Hai Wo Qari
Jo Noke Neza Pe Hai Ye Bole(
Siwa Khuda Ke Na Sar Jhukana-
Diya Jahan Ko Payaam Aisa.

Mai Khalid Apne Nabi Pe Qurban(
Hai Jinka Khulqe Azeem Quran(
Hai Roshni Jiski Do Jahan Me
Yahi Hai Maahe Tamaam Aisa.(