Karbala
Karbala (Sardaar Saleem Sahab)
Dhoondne Nikli Hain Maidaan Me Maaein Paani
Reth Se Aaj Nichodeingi Ridayein Paani.
Laayein Kab Shaame Ghareeban Ki Hawayein Paani
Koi Pyaasa Nahi Ab Kisko Pilayein Paani.
Ho Agar Aapka Irshad To Khud Mikayeel
Aye Hussain Aapke Qadmon Me Bichayein Paani.
Marzi -E- Haq Hai Ke Khamosh Rahein Sabr Karein
Aayein Apni Pe To Patthar Ko Banayein Paani.
Mushke Jaan Sahile Dariya Pe Hai Chalni Chalni
Pyaase Abbas Ki Leta Hai Balayein Paani.
Halqe Asghar Me Utarne Ka Mile Ek Mauqa
Raat Din Maangta Rehta Hai Duayein Paani.
Dar Haqiqath Ghame Shabbir Ki Tableegh Hai Ye
Raasta Rok Ke Logon Ko Pilayein Paani.
Sar Patakta Hai Saleem Aaj Bhi Dariya -E- Furaat
Karbala Waalon Ko Deta Hai Sadayein Paani.
Karbala (Sardaar Saleem Sahab)