Mere Sarkar Ko Jibreel Jab Quran Padhate Hain
Mere Sarkar Ko Jibreel Jab Quran Padhate
Kalaam of Rafiuddin Sharfi Sahab
Mere Sarkar Ko Jibreel Jab Quran Padhate Hain
Khadija Maai Ko Siddiq Ko Pehle Sunate Hain.
Ye Ghaare Saur Me Jab Paun Rozan Par Lagate Hain
Rafaqat Ke Yahan Siddiq Sab Jauhar Dikhate Hain.
Ta'alluq Aur Yaqeen Pukhta Hai Unka Apne Sahib Par
Mere Sarkar Ke Irshad Par Imaan Laate Hain.
Musalmanon Pe Fitne Badhgaye The Baad Aaqa Ke
Tadabbur Hilm Se Siddiq Sab Fitne Dabaate Hain.
Ke Baad -Ul- Ambiya Ahsan Bashar Hain Aap Bil Tafseel
Nabi Ki Mohtaram Masnad Pe Sab Unko Bithaate Hain.
Sila Paaya Hai Ye Siddiq Ne Apni Wafaon Ka
Ke Apne Saamne Hi Aapko Nayib Banaate Hain.
Sa'adath Paayi Hai Siddiq Ne Ye Saur Tujhse Hi
Yahan Par Apne Aaqa Ko Wo Kaandhon Par Uthaate Hain.
Ke Ghaare Saur Me Siddiq Ko Jab Pyaas Lagti Hai
Mangaa Kar Jannatul Firdaus Se Paani Pilaate Hain.
Ye Ghaare Saur Me Tay Karliya Tha Mere Aaqa Ne
Isi Baais To Apne Saath Gumbad Me Sulaate Hain.
Likhi Hai Manqabat Aisi Rafiuddin Sharfi Ne
Ise Ajdaad Iske Dekhte Hain Muskurate Hain.