Dil Me Ishqe Nabi Ki Ho Aisi Lagan-

Dil Me Ishqe Nabi Ki Ho Aisi Lagan-

Dil Me Ishqe Nabi Ki Ho Aisi Lagan-
Zindagi Ka Maza Hai Ke Har Saans SeA
Ya Muhammad Muhammad Nikalta Rahe.

Ya Muhammad Muhammad Mai Kehta Raha
Noor Ki Motiyon Ki Ladi Bangayi
Aayaton Se Milata Raha Aayatein
Phir Jo Dekha To Naate Nabi Bangayi.2
Sab Ke Sab Abre Rehmat Ke Cheetey Bane
Chagayi Raat Jab Zulf Lehra Gayi-
Jab Tabassum Kiya Chandni Bangayi.-
Ye To Maana Ke Jannat Hai Baaghe Haseen(
Khoobsurat Hai Sab Khuld Ki Sar Zameen
Husne Jannat Ko Phir Jab Sameta Gaya-
Sarware Ambiya Ki Gali Bangayi.(
Suraton Ki Tilawat Bhi Hoti Rahi-
Naat Bhi Hogayi Baat Bhi Bangayi.7
Sab Se Saaim Zamane Me Mazoor Tha(
Sab Se Bekas Tha Bebas Tha Majboor Tha
Unko Reham Aagaya Mere Halaat Par-
Meri Azmath Meri Be Basi Bangayi.

Dil Se Khayaale Gumbade Khazra Na Jayega
Wo Lamha Haazri Ka Bhulaya Na Jayega.

Nazre Karam Huzoor Ki Hogi Na Jab Talak
Soya Hua Naseeb Jagaya Na Jaayega.

Hoga Na Mera Chaaragaron Se Kabhi Ilaaj
Jab Tak Dare Rasool Pe Jaaya Na Jayega.

Mai Hoon Dare Rasool Ka Adna Sa Ek Ghulam
Uss Dar Pe Jhuka To Uthaaya Na Jayega.

Jaan Deke Bhi Hussain Ne Sabit Yehi Kiya
Ghairon Ke Aage Sar Ye Jhukaaya Na Jayega.

Mai Dechuka Hoon Aaqa Ke Haathon Me Apna Haath
Dozaq Me Mai To Kya Mera Saaya Na Jayega.

Jo Gir Pada Niyaazi Muhabbath Ki Raah Me
Juz Mustafa Kisi Se Uthaaya Na Jayega.

Dil Se Khayaale Gumbade Khazra Na Jayega