Kya Bataun Martaba Khwaja Nizamuddin Ka

Kya Bataun Martaba Khwaja Nizamuddin Ka

Kalaam of Saaim Chishti Sahab

Kya Bataun Martaba Khwaja Nizamuddin Ka
Har Wali Shaida Huwa Khwaja Nizamuddin Ka.

Unke Dar Par Hai Jhukayi Taajdaron Ki Jabeen
Jaari Hai Langar Sada Khwaja Nizamuddin Ka.

Wo Hain Mehboobe Ilaahi Aasshiqon Ke Peshwa
Jhanda Dehli Par Gada Khwaja Nizamuddin Ka.

Rehmate Rab Ne Use Aaghosh Me Hai Leliya
Jo Bhi Dil Se Hogaya Khwaja Nizamuddin Ka.

Unki Azmath Ko Salaami De Rahe Hain Asfiya
Ab Bhi Jalta Hai Diya Khwaja Nizamuddin Ka.

Unki Unchi Shaan Hai Wo Tajwar Dehli Ke Hain
Hai Nabi Tak Silsila Khwaja Nizamuddin Ka.

Mit'ti Hai Jismani -O- Roohani Sab Beemariyan
Hai Khula Daarush Shifa Khwaja Nizamuddin Ka.

Unko Sultanul Mashaiq Ka Laqab Aali Mila
Hamko Bhi Daman Mila Khwaja Nizamuddin Ka.

Unke Dar Se Saaim -O- Iqbal Ki Jholi Bhari
Hai Ye Sajid Bhi Gada Khwaja Nizamuddin Ka.

More from Manaqib Mix

More kalaam of Saaim Chishti Sahab

  • Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara
  • Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib
  • Abbas Tere Dar Sa Duniya Me Dar Kahan
  • Ajmer Meri Manzil Baghdad Hai Thikana
  • Allah Muhammad Chaar Yaar
  • Ameere Hamza Ameere Hamza