Naame Muhammad Salle Alaa

Naame Muhammad Salle Alaa

Naame Muhammad Salle Alaa
Aankhon Ki Thandak Dil Ki Jila
Aao Unka Zikr Karen
Jo Hai Daafa -e- Ranjo Bala.

Jinko Unka Qurb Mila Hai
Bangaye Haadi -o- Raah Numa
Sab Par Unki Chashme Karam
Waah Re Shaane Joodo Saqa.

Dekhke Apni Farze Amal Ko-
Aasi Jab Sharmaenge
Ummat Se Kuch Pyaar Hai Aisa
Khud Wo Karam Farmayenge.

Un Par Apna Tan Man Waarun
Waarun Husne Kauno Makaan
Haasil Unke Sadqe Me Hai
Izzat Azmath Naam -o- Nishaan.

Mehfile Naat Ki Baat Na Poocho
Khud Wo Karam Farmate Hain
Unke Din Phir Jaate Hain.

Unki Bheek Pe Sab Palte Hain-
Unke Mangte Shaho Gada
Dar Se Koi Khaali Na Lauta
Daata Ki Ye Shaane Ataa.

Jab Koi Mushkil Pesha Aai Hai(
Dil Ne Unko Pukara Hai
Anjum Apna To Ye Yaqeen Hai