Hazrath Ameere Hamza Raziallahu Ta'ala Anhu
Hazrath Ameere Hamza Raziallahu Ta'ala Anhu
Habeebe Paak Ke Pyaare Chacha Hain Hazrate Hamza
Khuda Ke Deen Ka Raushan Diya Hai Hazrate Hamza.
Jab Aaya Koi Sarkash Aapki Talwaar Ke Zad Me To Wo Aaghoshe Dozaq Me Gaya Hai Hazrate Hamza.
Na Chedo Mushkilon Mujhko Gada Hoon Mai Bhi Hazrath Ka
Pareshani Musibat Aur Aafat Me Pukaaro Tum Pata Chaljayega Tumko Ke Kya Hai Hazrate Hamza.
Bhula Sakti Nahi Hargiz Ye Duniya Chaah Kar Bhi Ab
Uhud Ki Jung Me Jo Kuch Hua Hai Hazrate Hamza.
Zamane Ki Ye Gardish Ko Pareshani Ko Kaato Ab Nabi Ne Tumko Saifullah Kaha Hai Hazrate Hamza.
Jo Maanga Aapka Lekar Ke Naame Paak Ham Sab Ne
Nabi Ne Phir To Sab Kuch Hi Diya Hai Hazrate Hamza.
Rakho Tum Apni Arzi Unke Dar Par Dil Se Aye Ghouri
Tumhari Har Duaon Ki Jaza Hai Hazrate Hamza.
Madad Ke Waaste Meri Sada Hai Hazrate Hamza.
Habeebe Paak Ke Pyaare Chacha Hain