Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
Yoon Ghame Zindagi Tamaam Karein.
Unka Aana Tha Kuch Khabar Na Rahi
Aaj Sajda Karein Khiyaam Karein.
Har Taraf Jaan -O- Bicha Dije
Kya Khabar Wo Kahaa Qayaam Karein.
Chashme Tar Soze Aarzu Lekar
Unke Jalwe Ka Intezaam Karein.
Jal Uthega Ye Aalame Hasti
Husn Jab Bhi Wo Be Niyaam Karein.
Jinko Husne Azal Me Dhalna Ho
Saaqiya Tera Maikada Kya Hai
Koi Bijlee Chala Hi De Shayad
Aao Ham Toor Par Khayaam Karain
Ham Jo Chahein Tere Zariye Se
Tu Hamein Yaad Bhi Kare Na Kare
Ham Tera Zikr Subho Shaam Karein.
Raaze Hasti Khule Nahi Tahir
Matla Hi Maqta -E- Kalaam Karein.
Bin Piye Raqs Tishna Aam Karein.
Ham Tera Zikr Shubho Shaam Karein.
Aayate Qurane Naatiq Aynuma (Hz Ulvi R.a)
Tasawwur Me Hai Ek Nigaare Do Aalam
Tasadduq Hai Jispar Bahaare Do Aalam.
Aayate Qurane Naatiq Aynuma Aankhon Me Hai
Shaane Mir'ate Jamaale Kibriya Aankhon Me Hai.
Hubbe Haq Hubbe Rasoolallah Hubbe Ahle Bait
Aayina Dar Aayina Dar Aayina Aankhon Me Hai.
Doosre Ka Kya Guzar Aankhon Me Wo Jab Basgaya
Phoote Wo Aankhein Jo Koi Doosra Aankhon Me Hai.
Jiski Surath Dekhta Hoon Yaar Ka Naqsha Hai Wo
Dilruba Mai Khud Hoon Jabse Dilruba Aankhon Me Hai.
Hai Kamayi Umr Bhar Ki Ulvi Aankhon Me Mere
Faiz Hai Ye Mirza Ka Mirza Aankhon Me hai.
Faiz Hai Ye Mirza Ka Mirza Aankhon Me Hai.
Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya