Khuda Ki Azmatein Kya Hai Muhammad Mustafa
Khuda Ki Azmatein Kya Hai Muhammad Mustafa
Khuda Ki Azmatein Kya Hai Muhammad Mustafa Jaane
Maqaame Mustafa Kya Hai Muhammad Ka Khuda Jaane.
Sada Karna Thi Mere Bas Me Maine To Sada Kardi
Wo Kya Deinge Mai Kya Loonga Sakhi Jaane Gada Jaane.
Kaha Jibreel Ne Sidrah Talak Meri Rasaayi Hai
Hai Kitni Manzilein Aage Nabi Jaane Khuda Jaane.
Madine Haazri Ki Maangte Rehna Dua Yaaro
Asar Hoga Nahi Hoga Nabi Jaane Dua Jaane.
Meri Mitti Madine Paak Ki Raah Me Bichadena
Kahan Lejayegi Isko Madine Ki Hawa Jaane.
Mujhe To Surkhuru Hona Hai Aaqa Ki Nigahon Me
Zamane Ka Hai Kya Naasir Bura Jaane Bhala Jaane.
Nabi Ki Aal Se Ulfath Inaam -E- Qudrath Hai
Hamari Aal Ki Qismat Me Ye Inaam Aaye.
Ghulame Panjatane Paak Pe Kabhi Maula
Dukhon Ki Dhoop Na Aaye Na Gham Ki Shaam Aaye.
Khudaya Ishqe Muhammad Me Wo Muqaam