Ham Madine Se Allah Kyun Aagaye
Ham Madine Se Allah Kyun Aagaye
Ham Madine Se Allah Kyun Aagaye
Qale Haira Ki Taskeen Wahin Rehgayi
Dil Wahin Rehgaya Jaan Wahin Rehgayi
Qam Usi Dar Pe Apni Jabeen Rehgayi.
Allah Allah Wahan Ka Duroodo Salaam
Allah Allah Wahan Ka Sujoodo Qayaam
Allah Allah Wahan Ka Wo Kaifo Dawaam
Wo Salaate Sukoon Afreen Rehgayi.
Yaad Aate Hai Hamko Wo Shaamo Sahar
Wo Sukoone Dilo Jaan Rooho Nazar
Ye Unhi Ka Karam Hai Unhi Ki Ataa
Ek Kaifiyate Dil Nasheen Rehgayi.
Padhke Nasrumminallahi Fathun Qareeb
Jab Hue Hum Rawa Sooe Kooe Habeeb
Barkatein Rehmatein Saath Chalne Lagi
Bebasi Zindagi Ki Yahin Rehgayi.
Jis Jagah Sajda Rezi Ki Izzath Mili
Jis Jagah Har Qadam Unki Rehmath Mili
Jis Jagah Noor Rehta Hai Shaamo Sahar
Wo Falak Rehgaya Wo Zameen Rehgayi.
Zindagani Wahin Kaash Hoti Basar
Kaash Behzaad Aate Na Ham Laut Kar
Aur Poori Hui Har Tamanna Magar
Ye Tamannae Qalbe Hazi Rehgayi....
Ham Madine Se Allah Kyun Aagaye