Aarzu Hai Ke Mile Jalwaye Janaan Mujhko.

Aarzu Hai Ke Mile Jalwaye Janaan Mujhko.

Aaj Karna Hai Charaghan Sare Mishghaan Mujhko
Khush Naseebi Se Mila Hai Dare Janaan Mujhko
Mujh Gunahgaar Ki Qismat To Nahi Thi Aisi
Milgaya Tere Karam Se Tera Damaan Mujhko.

Aapki Zaat Ko Allah Salamath Rakhe
Aap Jaisa Na Mila Koi Meherbaan Mujhko.

Aapki Chashme Inayaath Ke Qurban Jaaun
Aayina Dekh Ke Hota Hai Pashemaan Mujhko.

Zindagi Uske Hi Qadmon Pe Nichawar Kardun
Kaash Miljaye Mera Haasile Imaan Mujhko.

Kya Talab Tujhse Karun Tu Ne Nawaza Itna
Sar Uthaane Nahi Deta Tera Ehsaan Mujhko.

Aur To Koi Tamanna Nahi Danish Apni

Aaj Karna Hai Charaghan