Khula Hai Sabhi Ke Liye Baabe Rehmath
Khula Hai Sabhi Ke Liye Baabe Rehmath
Khula Hain Sabhi Ke Liye Baabe Rehmat
Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali
Muraadon Se Daaman Nahi Koi Khaali
Qitare Lagaye Khade Hai Suwaali.
Main Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha
To Thi Dil Ki Haalat Tadap Jaane Wali
Wo Darbaar Sach Much Mere Saamne Tha
Abhi Tak Tasawwur Tha Jiska Khayali.
Main Ek Haath Se Dil Sambhale Hue Tha
To Thi Dusre Haath Me Unnki Jaali
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Na Ye Haath Khaali Na Wo Haath Khaali.
Madina Madina Humara Madina
Hume Jaan O Dil Se Hai Pyara Madina
Suhana Suhana Dilara Madina
Har Aashiq Ki Aankhon Ka Taara Madina.
Pahado Pe Bhi Husn, Kaante Bhi Dilkush
Hain Qudrat Ne Kaise Sawaara Madina
Khuda Gar Qayamat Mein Farmaye Maango
Lagayenge Deewane Naara Madina.
Rage Ghul Ki Jab Naazuki Dekhta Hu
Mujhe Yaad Aate Hain Khwaare Madina
Mubarak Rahe Andalibo Tumhe Gull
Hume Gull Se Behtar Hain Khwaare Madina.
Rahe Unke Jalwe Base Unke Jalwe
Mera Dil Bane Yaadgaare Madina
Murade Dile Bulbule Benawa De
Khudaya Dikha De Bahaare Madina.
Duroodon Ke Gajre Salamon Ki Daali.
Eahk