Hamd Sarapa Naame Muhammad
Hamd Sarapa Naame Muhammad
Hamd Sarapa Naame Muhammad
Sallallahu Alaihi Wasallam
Khaak Pe Bistar Arsh Pe Arsh Pe Masnad
Sallallahu Alaihi Wasallam.
Khulqe Mujassam Noore Mukammal
Mursile Aakhir Khilqate Awwal
Hameele Shaano Azmate Behad
Sallallahu Alaihi Wasallam
Rooh Ki Taskeen Khaake Madina
Zarra Zarra Ek Nagina
Aankhon Ki Thandak Rauze Ka Gumbad
Sallallahu Alaihi Wasallam.
Jaane Sulook -O- Jazb Tumhi Ho
Tumsa Aaqa Koi Nahi
Shibli Qadim Chaakar Sarmad
Sallallahu Alaihi Wasallam.
Rango Nasab Ka Farq Mitakar
Bandon Ko Tumne Haq Se Milakar
Ek Banaaye Abyaz -O- Aswad
Sallallahu Alaihi Wasallam.
Hai Ye Saba Ke Lab Pe Tarana
Ek Din Hoga Saara Zamana
Zere Nageene Ummate Ahmed
Sallallahu Alaihi Wasallam.
Hamd Sarapa Naame Muhammad