Tujhko Mushkil Bhoolna Baba Mere
Tujhko Mushkil Bhoolna Baba Mere
Tujhko Mushkil Bhoolna Baba Mere
Yaad Aate Ho Sada Baba Mere.
Tu Jo Raazi Hai To Raazi Hai Khuda
Tu Khafa To Rab Khafa Baba Mere.
Tere Hasne Se Thi Ghar Me Raunaqein
Aaj Ghar Soona Hua Baba Mere.
Tere Bin Lagta Nahi Hai Dil Mera
Aaja Aaja Laut Aa Baba Mere.
Umr Bhar Mujhko Kabhi Gham Na Diya
Aaj Gham Kyun Degaya Baba Mere.
Rooth Kar Rehmat Khuda Ki Rukgayi
Chor Kar Jab Se Gaya Baba Mere.
Tu Mera Saaya Hai Mujhko Kehta Tha
Phir Juda Kyun Hogaya Baba Mere.
Tera Hasna Bolna Aur Daan'tnaa
Yaad Aata Hai Sada Baba Mere.
Dekhna Tujhko Ibadath Thi Meri
Kyun Tu Ojhal Hogaya Baba Mere.
Mutmayin Hoon Tu Rahega Saath Saath
Tu To Saaya Hai Mera Baba Mere.
Aaj Jo Maroof Jag Me Hai Qadeer
Teri Hi To Hai Dua Baba Mere.
Tujhko Mushkil Bhoolna Baba Mere