Saba Madine Me Mustafa Se
Saba Madine Me Mustafa Se
Ham Bekason Ka Salaam Kehna
Nahi Hai Koi Bajuz Tumhare
Hamara Itna Payaam Kehna
Nisaar Tere Fida Mai Tujhpar
Mai Tere Sadqe Mai Tujhpe Qurban(
Guzar Rahi Hai Jo Kuch Bhi Halaat-
Saba Nabi Se Tamaam Kehna.
Mai Paapiyada Hoon Ya Muhammad
Sambhal Lije Sambhal Lije
Kise Pukarein Bajuz Tumhare
Tumhara Lekar Ye Naam Kehna.
Jagah Madine Me Wo Ata Ho
Tumhare Rauze Ka Saamna Ho-
Wahin Pe Rehne Ki Aarzu Hai-
Wahin Ka Humko Ghulam Kehna
Na Mar Rahe Hain Na Jee Rahe Hain(
Tadap Rahe Hain Bilak Rahe Hain-
Nahi Hai Murda Hain Phir Bhi Zinda
Tumhara Lete Hain Naam Kehna.
Agar Wo Pooche Ke Kaun Hai Wo(
Hamari Furqat Me Hai Jo Nalaa
Ghareeb Haatif Ka Naam Kehna.-
Salaam Aap Par Taajdare Madina
Durood Aap Par Shehre Yaare Madina.
Karam Ho Karam Dono Aalam Ke Waali
Bulalije Chaukhat Pe Sarkare Aali
Gharibon Ki Fariyad Jaaye Na Khaali
Hum Aankhon Se Dekhen Bahare Madina.
Karam Aamina Bee Ke Aankhon Ke Taare
Haleema Ke Tanhaiyon Ke Sahare
Nabi Aap Hai Saare Nabiyon Se Pyaare
Fida Aap Par Aitbaare Madina.
Ghareebon Yateemon Ke Gham Khwar Aaqa
Har Ek Ummati Ke Madadgaar Aaqa
Ek Aalam Nahi Ya Faqre Do Aalam
Shahinshah Naqshe Nigaare Madina.
Abu Bakr Siddiqe Akbar Ka Sadqa
Umar Aur Usmane Dilbar Ka Sadqa
Ali Murtaza Yaani Haidar Ka Sadqa
Dikha Dijiye Ab Dayaare Madina.
Haleema Ki Tanhaiyon Ke Sahare
Shahinshahe Naqshe Nigaare Madina.
Shahe Do Aalam Salaam Assalam
Ghareebon Ke Ham Dam Salaam
Aap Ne Jo Kardiya Ungli Ka Ishara
Chand Do Tukde Hue Khurban Hogaya
Jab Namaze Asr Ali Ki Hui Qaza
Aapne Suraj Ko Dobara Palat Diya
Aap Jo Kiye Maujze Bane
Aap Jab Chale Do Jahan Jhuke
Rab Ne Bade Pyar Se Meraj Me Kaha
Rehne Do Nalain Ko Aajao Mustafa
Qadme Muhammad Ka Liya Arsh Ne Bosa
Jhoom Uthe Saare Malaik Wo Marhaba
Maange Jo Nabi Rab Ne Wo Diya
Rab Ne Jo Diya Nabi Ne Wo Liya
Mera Sar Bhi Hai Qam Salaam Assalam.
Hashr Me Ummat Ko Jahannam Se Bachana
Aasiyon Ko Noor Ki Chadar Me Chupana
Zindagi Hamari Gunahon Me Kati Hai
Ya Nabi Baqshish Pe Nazar Sab Ki Lagi Hai
Shahe Ambiya Dena Aasra
Noore Kibriya Sunlo Ye Sada
Karam Jaane Aalam Salaam Assalam.
Ya Nabi Mushkil Hua Ab Hind Me Jeena
Nazre Karam Se Hame Bulwalo Madina
Kaise Bhala Aasake Na maal wo zarr Hai
Ham Se Badi Door Madine Ka Sheher Hai
Der Na Karo Jald Bulalo
Dar Pe Bulakar Apna Banalo
Nikal Jaaye Na Dam Salaam Assalam.
Jhuka Arshe Aazam Salaam Assalam.
Jhoom Uthe Saare Malaik Wo Marhaba Marginal Marginal
Shaahe Do Aalam Salaam Assalam
Shaahe Do Aalam Ki To Kya Shaan Badi Hai
Shaane Khuda Ke Aap Hain Mazhar
Shaane
Khuda Ke Aap Hain
Mazhar
Laakhon
Durood Aur Laakhon Salaam
Rehmate Aalm Apne Payambar
Durood Aur Laakhon Salaam.
Aapka Rutba Aapki
Azmath
Ham Sab Ko Quran Ne Bataaya
Jab Hi To Bheja Khaliqe Akbar
Salle Alaa Ki
Dhoom Machi Hai
Noore Khuda Ki
Dhoom Machi hai
Haq Ne Banaaya Aapko At'har
Arshi Udhar Se Farshi Idhar Se
Aye Jaane Aalam Aye Maahe Aalam
Masroor Hain Sab Mehfil Me Padhkar
Sare Hashr Aasiyon Ne Pukaara
Gunahgaar Khatiyaun Ne Pukaara
Aao Aao Shafaye
Mehshar
Taaje
Shafa'at Aapke Sar Hai
Baabe Risalath Aapka Dar Hai
Koi Nahi Hai Aapse Badhkar
Iska Parakhna Khel Nahi Hai
Ye To
Ataa -E- Ghaib Mili Hai
Saif Nabi Ka Kaun Hai Hamsar
Gunahgaar Aur Khatiyaun Ne Pukaara
Rehmate Aalam Apne Payambar
Aye Jaaane Aalam Aye Maahe Aalam
Shaane Khuda Ke Aap Hain Mazhar (Hz Saif Sharfi Rh)
Unka Parakhna Khel Nahi Hai
Shaane Khuda Ke Aap Hain
Mazhar-