Muhammad Ka Aankhon Me Apne Makaan
Muhammad Ka Aankhon Me Apne Makaan (Hz Ghousi Shah Rh)
Kalaam of Ghousi Shah
Khuda Ka To Saani Nahi Koi Lekin
Karein Kya Fida Aap Par Ya Muhammad
Muhammad Ka Aankhon Me Apne Makaan Hai
Har Ek Shai Se Surath Ka Naqsha Ayaan Hai.
Tamanna -E- Deedar Kaisi Ke Har Dam
Nigahon Me Deede Nabi Ka Samaan Hai.
Phase Hain Do Aalam Ke Dil Gesuon Me
Fida Rooe Anwar Pe Saara Jahan Hai
Muhammad Sa Donon Jahan Me Kahan Hai.
Ham Uske Hain Bande Ham Uski Hain Ummat
Ke Har Zarre Zarre Me Jiska Nishaan Hai.
Ye Dil Aapka Hai Ye Aap Hi Ki Jaan Hai.
Bhala Kis Tarah Ho Hamein Khaufe Mehshar
Hamara Nabi Shaafa -E- Inso Jaan Hai.
Muhammad Ko Kya Jaanta Hai Tu Ghousi
Mera Deeno Imaan mera Jaane Jaan Hai.
Muhammad Ka Aankhon Me Apne Makaan (Hz Ghousi Shah Rh)