Tan Man Waara Jisne Dekha

Tan Man Waara Jisne Dekha

Tan Man Waara Jisne Dekha
Chehra Kamli Waale Ka
Aye Maula Ek Baar Dikhade
Jalwa Kamli Waale Ka.

Har Naimath Deta Hai Khuda
Par Waar Ke Unpar Deta Hai
Khaata Hai Ye Aalam Saara
Sadqa Kamli Waale Ka.

Hogi Talab Meri Ye Poori
Door Kareinge Wo Doori
InshaAllah Ham Dekhenge
Rauza Kamli Waale Ka.

Qabr Me Jab Pucheinge Farishte
Apna Ta'arruf Pesh Karo
Kehdunga Ke Mai To Hoon Bas
Mangta Kamli Waale Ka.

Aale Nabi Aulaade Ali Ki
Shaan Badhaayi Allah Ne
Kitna Aala Kitna Baala
Kumbah Kamli Waale Ka.

Ghouse Qutub Abdaal Qalandar
Sab Unke Gun Gaate Hain
Farshe Zameen Par Arshe Bareen Par
Charcha Kamli Waale Ka.

Tasweere Husne Be Nishaan