Na Aisi Zulfein Na Aisa Chehra
Na Aisi Zulfein Na Aisa Chehra
Na Aisi Zulfein Na Aisa Chehra
Na Yoon Kisi Pe Shabab Hoga
Jawab Honge Sabhi Ke Lekin
Na Mustafa Ka Jawab Hoga.
Baroze Mehshar Haseen Saare
Jo Honge Yakjaa Muqaable Ko
To Sab Se Pehle Yaqeen Maano
Bilaal Ka Inteqaab Hoga.
Jo Zulf Bikhre To Raat Hogi
Jo Chehra Nikle To Hogi Subha
Paseena Unka Girega Jispar
Wohi To Zarra Gulaab Hoga.
Khile Hue Hain Gulaabe Karbal
Hussain Ka Sar Kahan Hai Bolo
Jawab Aaya Kahin Wo Neze
Pe Padhta Ummul Kitaab Hoga.
Nabi Ka Rauza Hamari Jaan Hai
Isi Ke Darshan Se Zindagi Hai
Kabhi Jo Nikle Kooe Nabi Se
To Marna Jeena Azaab Hoga.
Ke Zere Madfan Farishte Bole
Sunaao Aaqa Ki Naat Haakim
Tumhe Suna Kar Sawaab Hoga
To Hamko Sunkar Sawaab Hoga.