Ya Sahibal Jamaal Wa Ya Sayyadul Bashar(

Ya Sahibal Jamaal Wa Ya Sayyadul Bashar(

Charcha Tumhari Azmat -O- Shaukat Ka Chaarsu
Noore Khuda Hai Aap Hi Ka Noor Hubahu
Ye Shaan Aapki Hai Ke Jalla Jalalahu
Quran Me Bayaan Kare Haq Subhanahu
Wirde Khuda Hai Sallu Alaihi Wasallimu
Laa Yunkinus Sanaau Kama Kaana Haqqahu
Baad Az Khuda Buzurg Tuhi Khissa Muqtasar.

Sab Sar Ba Sajda Hogaye Jannat Ke Khoobru
Hooro Malaika Me Thi Baaham Ye Guftagu
Salle Alaa Bahaar Hai Gulistaane Wahdahu
Hai Aap Hi Ke Husn Ka Phoolon Me Rang -O- Boo
Pohonche Falak Pe Jab Shahe Kaunain Nek Khu
Chorus...

Hai Justaju Huzoor Ki Allah Ki Justaju
Hai Raushni Huzoor Ke Chehre Ki Chaarsu
Aye Khusrawe Tajalli -E- Anwaare Allah Hoo
Qurban Tumpe Saare Haseen Saare Khoobru
Chorus...

Takhleeqe Kayenath Ka Sehra Hai Inke Sar
Inpe Fida Hain Jinno Malak Aur Har Bashar
Hai Do Jahan Me Zaate Muhammad Hi Mustaqar
Roze Azal Se Aap Hain Haq Deen -O- Haq Nigar
Kaunain Me Hai Aap Hi Ki Zaat Raahbar.

Chorus...

Ya Sahibal Jamaal Wa Ya Sayyadul Bashar
Daata Saqi Kareem Yadullah Naamwar
Bandanawaz Badshahe Husno Sar Ba Sar-
Sultane Do Jahan Shahinshahe Behrobar
Bande Pe Apne Meher Ki Hojaaye Ek Nazar.A
Jamaale Khuda Aapki Nazar-
Har Naqshe Paa Pe Aks Hain Khursheed Aur QamarK
Saani Nahin Hain Aapka Koi Payaambar
Mil Kar Padho Durood Shahe Do Jahaan Par
Ishqe Rasoole Paak Meri Zindagi Rahe-
Hubbe Nabi Se Mast Rahoon Bekhudi Rahe-
Kul Kayenaat Se Mujhe Bekangni Rahe-
Har Dam Mujhe Huzoor Se Wabastagi Rahe-
Wirde Zubaan Subho Masaa Bas Yehi Rahe.7
Aye Mazhare Tajalli -E- Anwaare Zuljalaal(
Aye Wajhe Qalqe Har Do Jahane Wo Bemisaal.2