Tasweer Le Khayaal -O- Tasawwur

Tasweer Le Khayaal -O- Tasawwur (Hz Azmath Baghdadi R.a)

Kalaam of Azmath Baghdadi

Tasweer Le Khayaal -O- Tasawwur Ki Dam Badam
Sajde Hazaar Baar Kiye Jaaraha Hoon Mai.

Wo Mere Rubaru Hain To Mai Unke Rubaru
Aankhon Se Bas Sharaab Piye Jaaraha Hoon Mai.

Duniya Ki Zindagi Me Maza Kuch Nahi Raha
Bas Unka Naam Leke Jiye Jaaraha Hoon Mai.

Mehfil Me Paas Hain Wo Mere Unse Kya Kahun
Honton Ko Baar Baar Siye Jaaraha Hoon Mai.

Mai Aapka Hoon Aap Mere Hai Habeebe Man
Dil Me Tumhe Maqaam Diye Jaaraha Hoon Mai.

Wo Mere Paas Aake Muhabbath Se Jhukgaye
Chahat Ka Yoon Salaam Liye Jaaraha Hoon Mai.

Unse Kaha Mai Kiska Karoge Tum Inteqaab
Azmath Tumhara Naam Liye Jaaraha Hoon Mai.

Tasweer Le Khayaal -O- Tasawwur (Hz Azmath Baghdadi R.a)