Imaame Aazam Abu Hanifa
Imaame Aazam Abu Hanifa
Hamare Aaqa Hamare Maula
Hamare Maljaa Hamare Ma'waa
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Tumhi Ko Maana Tumhi Ko Jaana
Tumhi To Sab Ke Imaam Thehre
Mila Na Koi Imaam Tumsa
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Zamane Bhar Ne Zamane Bhar Me
Bohot Tajassus Kiya Wa Lekin
Mila Na Koi Imaam Tumsa
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Sipehre Ilm -O- Amal Ke Sooraj
Tumhi Ho Sab Hain Tumhare Taarey
Tumhi Se Chamka Hai Jo Bhi Chamka
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Tumhare Aage Tamaam Aalam
Na Kyun Kare Zaano -E- Adab Kham
Ke Peshwayaan -E- Deen Ne Maana
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Na Kyun Kare Naaz Ahle Sunnat
Ke Tumse Chamka Naseeb -E- Ummat
Siraj -E- Ummat Mila Ho Tumsa
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Khuda Ne Tujhko Wo Di Hai Rif'ath
Ke Tera Mansoob Bhi Hai Marfoo'
Teri Izafath Me Raf'a Paaya
Hua Uloo Al'Amr Se Ye Sabit
Khuda Ne Tumko Kiya Hamara
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Kisi Ke Aankhon Ka Tu Hai Taara
Kisi Ke Dil Ka Bana Sahara
Magar Kisi Ke Jigar Me Aara
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Jo Teri Taqleed Shirk Hoti
Muhaddiseen Saare Hote Mushrik
Bukhaari -O- Muslim Ibne Maajah
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Ye Jitne Fuqaha Muhaddiseen Hain
Tumhare Khirman Se Khosha Cheen Hain
Ho Waaste Se Ke Be Waseela
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Siraj Tu Hai Baghair Tere
Jo Koi Samjhe Hadees -O- Quran
Phire Bhatakta Na Paaye Rasta
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Khabar Le Aye Dastageer -E- Ummat
Hai Saalik -E- Be Khabar Pe Shiddat
Wo Tera Ho Ke Phire Bhatakta
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Imaame Aazam Abu Hanifa.
Ke Teri Taa'at Zaroor Wajib
Imaame Hasan A.s (Aarif Laubali Sahab)