Roop Uske Nit Naye
Roop Uske Nit Naye (Hz Kamil Rh)
Kalaam of Kamil
Saayae Ahmade Muqthar Mubarak Bashad
Nisbate Haidare Karrar Mubarak Bashad.
Mushkilon Ka Nahi Kuch Khauf Ke Har Mushkil
Ghouse Aazam Hai Madadgaar Mubarak Bashad.
Karam Hai Hazrate Khwaja Hai Yahan Jalwa Figan
Barishe Rehmato Anwaar Mubarak Bashad.
Tawaafe Khanae Kaaba Ho Mubarak Tumko
Aur Sarkar Ka Deedar Mubarak Bashad.
Tu Salamath Rahe Kooncha Tera Aabad Rahe
Humko Khaake Dare Janana Mubarak Bashad.
Lutfe Nazzaarae Janana Mubarak Bashad.
Husne amal pe naaz mere dushmanon ko ho,
Mei Saat leke jaaounga nisbat Rasool ki
Nisbat e Haidare kararr Mubarak bashad
Kaamil Ye baat yaad rakkho balke likh rakho,
Khaali kabhi or jayegi Nisbat Rasool ki,
Saaya -E- Ahmade Muqthar Mubarak Bashad
Muqthar Mubarak Bashad
Ghouse -E- Aazam Hai Madadgaar Mubarak Bashad.
Tawaafe Khanaye Kaaba Ho Mubarak Tumko
Girah...
Kaamil Ye Baat Yaad Rakho Balke Likh Rakho
Khaali Kabhi Na Jayegi Nisbath Kisi Ke Saath.
Husne Amal Pe Naaz Mere Dushmanon Ko Ho
Mai Saath Leke Jaaunga Nisbath Rasool Ki.
LSaaya -E- Ahmade Muqthar Mubarak Bashad
Kamil Ye Baat Yaad Rakho Balke Likh Rakho
em'O
Saaya -E- Muqthar Mubarak Bashad
quui
Saaye Me Tumhare Daman Ke
Jis Din Se Guzaara Karte Hain
Sab Apne Amal Par Nazaan Hain
Ham Zaam Tumhara Karte Hain.
Hai Apna Wazifa Subho Masaa
Har Haal Me Ya Ghouse -E- Aazam
Jo Naaz Hamare Sehta Hai
Ham Usko Pukaara Karte Hain.
Ek Husn Mukammal Hota Hai
Aur Chashme Aqidath Hoti Hai
Ham Aapke Rooe Anwar Ka
Jis Waqt Nazaara Karte Hain.
Aankhon Me Hamare Saaqi Ki
Rehte Hain Chalakte Paimane
Mai Khwaar Un Aankhon Ka Sadqa
Aankhon Se Utaara Karte Hain.
Ye Ahle Nazar Ye Dil Waale
Bante Hain Nishana Sab Unka
Har Teer Thikane Lagta Hai
Wo Taak Ke Maara Karte Hain.
Uss Bandanawazi Ke Qurban
Ham Unki Nazar Ke Sadqe Me
Ek Parda Nasheen Ka Ghar Baithe
Be Parda Nazaara Karte Hain.
Kuch Rabte Muhabbat Ke Gharre
Kuch Pusht Panahi Ke Bharre
Jab Koi Nahi Bharta Haami
Ham Unko Pukaara Karte Hain.
Furqat Me Kisi Ki Bechaini
Hamse To Nahi Dekhi Jaati
Kya Apne Kisi Bande Ki Tadap
Sarkar Gawaara Karte Hain.
Duniya Ke Haseenon Ko Kamil
Mehboobe Khuda Se Kya Nisbath
Wo Khud Ko Sawaare Rehte Hain
Ye Sab Ko Sawaara Karte Hain.
Saaye Me Tumhare Daman Ke (Hz Kamil Rh)