Kya Bataun Ke Kya Madina Hai (Tazmeen)
Kya Bataun Ke Kya Madina Hai (Tazmeen)
Kya Bataun Ke Kya Madina Hai
Bas Mera Muddua Madina Hai.
Uthke Jaaun Kahan Madine Se
Kya Koi Doosra Madina Hai.
Uski Aankhon Ka Noor To Dekho
Jiska Dekha Hua Madina Hai.
Dil Me Ab Koi Aarzu Hi Nahin
Ya Muhammad Hai Ya Madina Hai.
Dil Fida Hai Madine Waale Par
Dil Munawwar Mera Madina Hai.
Kya Karun Ke Yaad Aati Hain Sunehri Jaaliyan
Dil Me Ek Halchal Machaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Phootne Lagti Hain Phir Umeed Ki Kirnein Nayi
Khwab Aankhon Me Jagaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Zindagi Bhar Ki Thakan Ko Door Kardeti Hain Wo
Pyaar Se Jab Muskurati Hain Sunehri Jaaliyan.
Apni Palkon Se Unhein Mai Choomta Hoon Der Tak
Dil Me Jab Bhi Jagmagaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Puchne Waale Mai Lafzon Me Bayaan Kaise Karun
Kya Bataun Kya Dikhaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Jo Yahan Pohoncha Wo Aaqa Ki Shafa'at Pagaya
Raah Jannat Ke Dikhaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Kya Karun Ke Yaad Aati Hain Sunehri Jaaliyan