Ye Jeelani Shaiallillah
Ye Jeelani Shaiallillah (Hz Khaleeq Rh)
Kalaam of Khaleeq
Aapka Qaadim Hoon Aaqa
Ya Jeelani Shaiallillah
Kije Inayath Behre Khuda
Ya Jeelani Shaiallillah.
Ham To Tere Kehlaate Hain
Iss Par Phir Itraate Hain
Naam Tera Chillaate Hain
Ya Jeelani Shaiallillah.
Gharqe Gunaah Hain Ham Shaaha
Tu Hi Bacha Aalijaaha
Sehl Tujhe Gar Tu Chaaha
Ya Jeelani Shaiallillah.
Jald Bulalije Baghdad
Hijr Me Maare Jaate Hain
Aap Na Hazrath Aate Hain
Aur Na Hamein Bulwaate Hain
Ya Jeelani Shaiallillah.
Kijiye Iss Nashaad Ko Shaad
Hind Me Mitti Hai Barbaad
Ya Jeelani Shaiallillah.
Apne Mureedon Ke Sar Par
Haath Tera Ho Gar Rehbar
Phir Unhe Kya Khaufe Mehshar
Ya Jeelani Shaiallillah.
Apne Gunahon Me Hai Ghareeq
Qaadim Tera Hai Jo Khaleeq
Tere Siwa Hai Kaun Shafeeq
Ya Jeelani Shaiallillah.
Ya Jeelani Shaiallillah
Ya Jeelani Shaiallillah
Ya Jeelani Shaiallillah
Al Madad Bi Iznillah.
BehreBGunahonm Tera Hai Jo Khaleeq