Teri Shaan Jalla Jalalahu

Teri Shaan Jalla Jalalahu

Teri Zaat Paak Hai Aye Khuda

Nahi Tujhsa Koi Bhi Doosra
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Tera Zikr Hi To Namaz Hai
Teri Yaad Hi To Niyaaz Hai
Badi Sehel Hai Teri Bandagi
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Kabhi Mast Dekhke Phool Ko
Kabhi Tere Husn Khubool Ko
Yehi Kehrahi Hai Kali Kali
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Jise Chaahe Hosh Me Laaye Tu
Jise Chaahe Mast Banaaye Tu
Tuhi Hosh De Tuhi Bekhudi
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Tere Hukm Se Jo Hawa Chali
To Chitak Ke Boli Kali Kali
Hai Kareem Tu Hai Raheem Tu
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Tera Daali Daali Me Wasf Hai
Teri Patte Patte Me Hamd Hai
Tera Ghunchey Ghunchey Me Rango Boo
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Tera Jalwa Dono Jahan Me Hai
Tera Noor Kauno Makaan Me Hai
Yahan Tu Hi Tu Wahan Tu Hi Tu
Teri Shaan Jalla Jalalahu.

Aye Khuda Raheem Hai Rahman
Mai Teri Kibriyaai Ke Qurban
Zindagi Teri Kayenaat Teri
Wahdahu Laa Shareek Zaat Teri
Dar Pe Aakar Tere Rukgaya Hoon
Tujhko Chaahun Muhammad Ko Chaahun
Aur Koi Nahi Mujhko Bhaata
Laaj Rakhna Sawaali Ki Daata.

Rooh Jhoome Ishaaron Pe Tere
Chorus...

Girah...

Aankh Lehraaye Jalwon Pe Tere
Mera Har Kaam Raston Pe Tere
Meri Har Saans Ka Tujhse Naata.

Shukr Tera Adaa Na Ho Mujhse
Warna Hone Ko Kya Na Ho Mujhse
Tera Ek Bandaye Haqeer Hoon Mai
Tere Mehboob Ka Faqeer Hoon Mai.

Aye Jahanon Ko Paalne Waale
Mushkilon Se Nikaalne Waale.

Pal Ko Sadiyan Me Dhaalne Waale
Seedhe Raste Pe Daalne Waale.

Ya Allah Ya Rahman (NFAK)