Dariya Hai Hamara (Hz Abbas Alamdaar A.s)

Dariya Hai Hamara (Hz Abbas Alamdaar A.s)

Dariya Pe Jo Pohoncha Asadullah Ka Pyaara
Lalkaar Ke Phir Fauj Ko Ghazi Ye Pukaara
Tum Sab Yehi Kehte The ke Dariya Hai Hamara-
Ab Dekho Ke Dariya Hai Hamara Ke Tumhara
Lo Cheenlo Ye Ham Hai Ye Qabza Hai Hamara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Abbas Ka Naara Hai Alamdaar Ka Naara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara
Mai Haidare Karrar Ke Saaye Me Pala Hoon
Lo Cheenlo Ye Ham Hai Ye Qabza Hai Hamara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Mai Fatima Zahra Ki Duaon Ka Sila Hoon
Abbas Mera Naam Alamdaar -E- Wafa Hoon
Ye Naam -O- Nasab Hai Meri Qismat Ka Sitara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Aaqa Ki Duaon Ka Karam Saath Hai Mere
Dekho Bani Hashim Ka Hasham Saath Hai Mere
Rutba Hai Alamdaar Alam Saath Hai Mere
Lehra Ke Pharera Bhi Ye Karta Hai Ishara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Sahil Pe Ye Jo Fauj Ke Daste Hain Tumhare
Ek Aan Me Paiwand -E- Zameen Hon Abhi Saare
Dariya Ulat Aaye Abhi Qadmon Me Hamare
Ek Hashr Bapa Kardun Mai Kardun Jo Ishara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Khat Bhejke Tumne Jise Yasrab Se Bulaya
Mehman The Lekin Unhe Dariya Se Hataya
Pyaase Hi Rahe Wo Unhe Paani Na Pilaya
Allah Ne Jinke Liye Kausar Ko Utaara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Ye Hukm Hai Aaqa Ka Na Talwaar Uthana
Warna Meri Zarbon Se Larazta Ye Zamana
Ye Fauje Jafakaar Ye Zaalim Ka Thikana
Ek Neze Se Naqsha Hi Badal Jayega Saara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Kya Fauj Ki Tadaad Bataate Ho Hamein Tum
Ham Dekhein Ke Kis Tarha Hataate Ho Hamein Tum
Kis Hakim -O- Jaabir Se Daraate Ho Hamein Tum
Ab Naam Na Lena Kisi Hakim Ka Dobara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Pyaasa Hoon Magar Sunle Sabhi Dushmane Jaani
Paani Mujhe Peena Nahi Lejaana Hai Paani
Haaye Mere Masoomon Ki Wo Tishna Dehani
Hai Mashke Sakina Unhi Pyaason Ka Sahara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Tareeq Ne Dekha Na Hilaal Aisa Wafadar
Ab Bhi Hai Taraayi Ki Zameen Par Wo Dilafgaar
Wo Dekh Zara Rauzaye Abbas -E- Alamdaar
Ek Zinda Gawahi Hai Ye Marqad Ka Nazara
Dariya Hai Hamara, Dariya Hai Hamara.

Dariya Hai Hamara (Hz Abbas Alamdaar A.s)