Khudi Ka Sirre Nihaan

Khudi Ka Sirre Nihaan

Khudi Ka Sirre Nihan
Laa Ilaaha Illallah
Khudi Hai Tegh Fasaan
Laa Ilaaha Illallah.

Ye Daur Apne Baraheem Ki Talash Me Hai
Sanam Kada -E- Jahan Laa Ilaaha Illallah.

Kisi Ne Poocha Ke Jannat Ki Koi Kheemat Hai
To Mustafa Ne Kaha Laa Ilaaha Illallah.

Kiya Hai Tu Ne Mataaye Ghuroor Ka Sauda
U -E- Soodo Ziyaan Laa Ilaaha Illallah.

Ye Maal Daulate Duniya Ye Rishta -O- Paiwand
Butaane Wehmo Gumaan Laa Ilaaha Illallah.

Khirad Hui Hai Zaman -O- Makaan Ki Zunnari
Na Hai Zamaan Na Makaan Laa Ilaaha Illallah.

Ye Naghma Fasle Gulo Laala Ka Nahi Paband
Bahaar Ho Ke Khizaan Laa Ilaaha Illallah.

Agarche Buth Hai Jama'at Ki Aastinon Me
Mujhe Hai Hukme Azaan Laa Ilaaha Illallah.

Khudi Ka Sirre Nihaan (NFAK)