Khizaan Se Koi Talab Nahi Hai

Khizaan Se Koi Talab Nahi Hai

Khizaan Se Koi Talab Nahi Hai
Bahaar Lekar Mai Kya Karunga
Nigahe Saaqi Rahe Salamath
Khumaar Lekar Mai Kya Karunga.

Kahan Wo Haale Bilaale Habshi
Kahan Wo Ishqe Owais Qarni
Nabi Ki Furqat Me Jeeraha Hoon
Qaraar Lekar Mai Kya Karunga.

Koi Hai Shaame Watan Pe Raqsaan
Koi Hai Subhe Chaman Pe Nazaan
Bisaat Meri Hai Khaake Taiba
Nikhaar Lekar Mai Kya Karunga.

Aye Muqlison Tum Mujhe Na Chedo
Ye Rasme Ulfath Tumhein Mubarak
Shahe Madina Ka Ishq Laao
Ye Pyaar Lekar Mai Kya Karunga.

Kitabe Awwal Pe Naqshe Quran
Wo Rooe Anwar Pe Zulfe Pehchan
Qasam Hai Shamso Qamar Ki Laylo
Nihaar Lekar Mai Kya Karunga.

Nigahe Munkir Nakeer Chamke
To Unka Bekal Machal Ke Bola
Nabi Ke Jalwon Me Gum Hoon Sham'a
Mazaar Lekar Mai Kya Karunga.

Khizaan Se Koi Talab Nahi Hai