Sarkare Do Aalam Ke Rukh Par

Sarkare Do Aalam Ke Rukh Par

Sarkare Do Aalam Ke Rukh Par
Anwaar Ka Aalam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikr Hai Quran Me
Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga.

Mehboobe Khuda Ke Jalwon Se
Imaan Ki Aankhein Raushan Hain
Bin Dekhe Hi Jab Ye Haalath Hai
Deedar Ka Aalam Kya Hoga.

Jab Unke Gada Bhardete Hain
Shaahan -E- Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ki Jab Ye Haalath Hai
Mukhtar Ka Aalam Kya Hoga.

Jab Sun Ke Sahaba Ki Baatein
Kuffaar Musalman Hote The
Phir Donon Jahan Ke Aaqa Ki
Guftaar Ka Aalam Kya Hoga.

Jab Unke Ghulamon Ke Dar Par
Jhukte Hain Salateene Aalam
Phir Koi Bataye Aaqa Ke
Darbar Ka Aalam Kya Hoga.

Hai Naam Me Unke Itna Asar
Jee Uth'te Hain Murde Bhi Sunkar
Wo Haal Agar Khud Hi Poochein
Bimaar Ka Aalam Kya Hoga.

Mizaane Amal Par Honge Kabhi
Aur Honge Kabhi Wo Kausar Par
Ummat Ke Liye Rauze Mehshar
Sarkar Ka Aalam Kya Hoga.

Taiba Se Hawa Jab Aati Hai
Bekal Ko Sukoon Miljaata Hai
Iss Paar Ki Jab Ye Haalath Hai
Uss Paar Ka Aalam Kya Hoga.

Sarkare Do Aalam Ke Rukh Par