Nabi Ke Ishq Me Gum Iss Qadar Siddiqe Akbar Hain

Nabi Ke Ishq Me Gum Iss Qadar Siddiqe Akbar Hain

Kalaam of Bismil Abululai Sahab

Nabi Ke Ishq Me Gum Iss Qadar Siddiqe Akbar Hain
Dasa Hai Saamp Iss Se Be Khabar Siddiqe Akbar Hain.

Nabi Ke Baad Iss Miyaar Par Siddiqe Akbar Hain
Kahan Duniya Ne Ab Khairul Bashar Siddiqe Akbar Hain.

Mila Hai Tumko Ye Rutba Fidaaye Mustafa Hokar
Fida Laakhon Tumhare Naam Par Siddiqe Akbar Hain.

Nabi Ke Rauzaye Aqdas Me Milta Hai Saboot Iska
Ke Iss Aalam Me Bhi Nazdeek Tar Siddiqe Akbar Hain.

Sadaqat Naaz Karti Hai Rafaqat Fakhr Karti Hai
Jidhar Hain Sayyade Kaunain Udhar Siddiqe Akbar Hain.

Hui Unke Amal Ki Baarha Tasdeeq Quran Se
Raza –E- Haq Se Itne Ba Khabar Siddiqe Akbar Hain.

Nabi Ke Baad Thode Hi Dinon Ye Rehsake Zinda
Wafadaari Ki Iss Miyaar Par Siddiqe Akbar Hain.

Nabi Hi Ne Kiya Hai Baarha Khud Aiteraaf Iska
Hain Jiske Mujhpe Ehsaan Wo Bashar Siddiqe Akbar Hain.

Nabi Ke Baad Jis Rehbar Ki Duniya Ko Zarurath Thi
Unhi Ausaaf Usi Miyaar Par Siddiqe Akbar Hain.

Jo Sabse Pehle Hoga Dakhile Firdous Ummat Me
Ba Qaule Sarware Deen Wo Bashar Siddiqe Akbar Hain.

Nabi Hi Usko Jaanein Ya Phir As'haabe Nabi Bismil
Nabi Se Kis Qadar Nazdeek Tar Siddiqe Akbar Hain.

More from Manaqib Mix

More kalaam of Bismil Abululai Sahab

  • Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara
  • Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib
  • Abbas Tere Dar Sa Duniya Me Dar Kahan
  • Ajmer Meri Manzil Baghdad Hai Thikana
  • Allah Muhammad Chaar Yaar
  • Ameere Hamza Ameere Hamza