Tumhara Naam Hai Aarame Jaan Mehboobe Subhani

Tumhara Naam Hai Aarame Jaan Mehboobe Subhani

Tumhara Naam Hai Aarame Jaan Mehboobe Subhani
Mere Aaqa Shahe Arzo Sama Mehboobe Subhani.

Kaho Subhan Tum Ko Ya Mehboob e subhani
Zaban qaasir hai meri ab yahan Mehboob e subhani
Khuda ko Dhoondne Waalon Idhar Aao Idhar Aao
Wahin Subhan Hoga Hai Jahan Mehboobe Subhani.

Qasam Allah Ki Dar Ko Tere Daarul Amaan Paaya
Qasam Allah Ki Har Ek Musibat Taal Sakta Hoon
Rahein Gar Aap Mujhpar Meherbaan Mehboobe Subhani.

Kabhi Arshe Mualla Par Kabhi Ho Farshe Khaaki Par
Yahan Mehboobe Subhani Wahan Mehboobe Subhani.

Kabhi Khwaja Ki Surath Se Numayan Aapka Chehra
Kabhi Aamir Ki Surath Se Ayaan Mehboobe Subhani.

Mera Toota Nasheman Aapke Sadqe Me Qaaim Hai
Tumhein Dekhun Tumhein Chahun Tumhara Hi Mai Kehlaun
Karo Manzoor Meri Arziyaan Mehboobe Subhani.

Uthado Tum To Jayeinge Kahan Mehboobe Subhani.

Tumhi Awwal Tumhi Aakhir Ajab Turfa Tamasha Hai
Nihaan Mehboobe Subhani Ayaan Mehboobe Subhani.

Hai Aamada Mitaane Bijliyan Mehboobe Subhani.

Tumhara Naam Hai Aarame Jaan Mehboobe Subhani