Jaane Haidar Madade Shakle Payambar Madade
Jaane Haidar Madade Shakle Payambar Madade
Jaane Haidar Madade Shakle Payambar Madade
Aye Hussain -O- Hasani Khwaja -E- Sanjar Madade.
Girah...
Allah Aur Rasool Ali Se Milayeinge
Hamko Hasan Hussain Ka Sadqa Dilayeinge.
Mera Khwaja Mujhe Deta Hai Kaam Chalta Hai
Inke Tukdon Pe Mere Khandaan Palta Hai.
Rakhni Padegi Laaj Ghulami Ke Naam Ki
Duniya Ye Jaanti Hai Tumhara Gada Hoon Mai.
Khwaja Ka Ye Payaam Payaame Hussain Hai
Har Chishtiya Ghulam Ghulaam Hussain Hai.
Allah Ne Baqshe Hain Hame Dono Sahare
Khwaja Bhi Hamare Hain Muhammad Bhi Hamare.
Sadqa Usman Ka Moin Sab Pe Karam Farmao
Aye Shahinshaah Moin Faize Samandar Madade.
Naam Naami Hai Tumhara Mere Har Gham Ki Dawa
Hind Waliyon Ke Wali Khwaja -E- Sarwar Madade.
Jaane Kitnon Ke Sawaare Hain Muqaddar Tumne
Ek Nazar Meri Taraf Husn Ke Paikar Madade.
Jaane Haidar Madade Shakle Payambar Madade