Kya Karun Ke Yaad Aati Hain Sunehri Jaaliyan
Kya Karun Ke Yaad Aati Hain Sunehri Jaaliyan
Dil Me Aajata Hai Jis Dam Bhi Mawajah Ka Khayaal
Kya Kahun Kitna Rulaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Kya Karun Ke Yaad Aati Hain Sunehri Jaaliyan
Dil Me Ek Halchal Machaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Phootne Lagti Hain Phir Umeed Ki Kirnein Nayi
Khwab Aankhon Me Jagaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Zindagi Bhar Ki Thakan Ko Door Kardeti Hain Wo
Pyaar Se Jab Muskurati Hain Sunehri Jaaliyan.
Apni Palkon Se Unhein Mai Choomta Hoon Der Tak
Dil Me Jab Bhi Jagmagaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Puchne Waale Mai Lafzon Me Bayaan Kaise Karun
Kya Bataun Kya Dikhaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Jo Yahan Pohoncha Wo Aaqa Ki Shafa'at Pagaya
Raah Jannat Ke Dikhaati Hain Sunehri Jaaliyan.
Kya Karun Ke Yaad Aati Hain Sunehri Jaaliyan