Kirpa Karo Maharaj Moinuddin

Kirpa Karo Maharaj Moinuddin (NFAK)

Sirre Haq Raa Bayaan Moinuddin
Be Nishaan Raa Nishaan Moinuddin.

Mazhare Jalwagahe Noore Qidam
Aaftabe Jahaan Moinuddin.

Khwajae Khwajgaan Moinuddin
Faqre Kauno Makaan Moinuddin.

Murshade Rahnumae Ahle Safa
Hadiye Inso Jaan Moinuddin.

Khwajae Lamakaan Khudsi Makaan
Aasman Aastaan Moinuddin.

Qurbe Haq Aye Niyaaz Gar Khwahi
Saaz Wirde Zabaan Moinuddin.

Khwajae Khwajgaan Moinuddin
Faqre Kauno Makaan Moinuddin
Murshade Rahnumae Ahle Safa
Hadiye Inso Jaan Moinuddin
Khwajae Lamakaan Khudsi Makaan
Aasman Aastaan Moinuddin
Mazhare Jalwagahe Noore Qadam
Aaftabe Jahaan Moinuddin
Qurbe Haq Aye Niaaz Gar Qaahi
Saaz Wirde Zabaan Moinuddin
Tumre Naam Ka Chola Pehen Kar Phirti Hoon Itraaye
Sadqe Me Khwaja Usman Ke Laaj Mori Rehjaye.

Raajan Ke Maharaj Moinuddin.

Gira...

Nabi Ka Waasta Khwaja Meri Pukaar Suno
Hazaar Baar Suni Aur Ek Baar Suno.

Ab Hampe Karam Kijiye Ye Waqte Karam Hai
Aye Khwaja Piya Tumko Muhammad Ki Qasam Hai.

Tumhari Zaat Se Mera Bada Ta'alluq Hai
Ke Mai Ghareeb Bada Tum Bade Ghareeb Nawaz.

Tumhare Dar Ki Bhikaran Hoon Zarf Rakhti Hoon
Mai Phirne Waali Nahi Hoon Gali Gali Khwaja.

Dukhiya Hoon Giri Dukh Ke Bhipath Me
Rowath Hoon Nit Ghat Hi Ghat Me
Tum Rakho To Rahe Jagat Me
Mujh Paapan Ki Laaj Moinuddin.

Tumri Daya Ki Sunke Qabariya
Aan Padi Hoon Mai Tori Deheriya
Sukh Wase Ajmer Nagariya
Jisme Karo Tum Raaj Moinuddin.

Tan Man Waarun Laagun Paiyyan
Chodo Na Khwaja Mori Pakd Ke Baiyyan
Mai Daasi Tum More Saiyyan
Tum Hi Ghareeb Nawaz Moinuddin.

Nibhti Nahi Ab Kaise Nibhaun
Tum Bin Kisko Haal Sunaun
Tumri Kahaa Ke Ab Kithe Jaaun
Tum Hi Kaho Maharaj Moinuddin.

Chaho To Dar Dar Bheek Mangado
Chaho Dharo Sar Taaj Moinuddin.

Bharde Gajariya Rangde Chunariya
Qaaim Rahe Tora Raaj Moinuddin.

Sadqaye Khwaja Usmane Haroon
Khaali Na Phero Aaj Moinuddin.

Aan Padi Hoon Darbar Tihaare
Rakhiyo Hamri Laaj Moinuddin.

Moinuddin Hasan Aalam Panahe
Kirpa Karo Maharaj Moinuddin