Nabi Ke Jansheen Jo Naamwar Farooqe Aazam Hain
Nabi Ke Jansheen Jo Naamwar Farooqe Aazam Hain
Kalaam of Aazam Ali Soofi Sahab
Nabi Ke Jansheen Jo Naamwar Farooqe Aazam Hain
Khalifa Doosre Hazrath Umar Farooqe Aazam Hain.
Rasoolallah Ke Ghazwaat Me Jalwat Me Khalwat Me
Rafeeq -O- Ham Rikaab -O- Hamsafar Farooqe Aazam Hain.
Hai Jinki Shaan "Ashidda'u Alal Kuffar" Quran Me
Ghazabnaak Iss Qadam Kuffar Par Farooqe Aazam Hain.
Hue Aayate Quran Aapke Alfaaz Me Naazil
Khuda Ke Paas Kitne Moa'tabar Farooqe Aazam Hain.
Rasoole Paak Ne Farmaya Mere Baad Agar Koi
Nabi Hote To Wo Hazrath Umar Farooqe Aazam Hain.
Alal Ailaan Hui Tafreeq Haq Me Aur Baatil Me
Hue Islam Se Jab Behrawar Farooqe Aazam Hain.
Chale The Sar Qalam Karne Nabi Ka Ek Nazr Hi Me
Fida Sar Kardiye Sarkar Par Farooqe Aazam Hain.
Sunehri Jaali Me Jhaanka To Andar Yoon Nazar Aaya
Nabi Ke Saath Idhar Siddiq Udhar Farooqe Aazam Hain.
Jab Unka Naam Lete Hi Shayateen Bhaag Jaate Hain
Ba Zaate Khud Qawi Phir Kis Qadar Farooqe Aazam Hain.
Hidayath "Al Jabal Ya Saariyah" Ki Den Madine Me
Qareeb -O- Door Sab Se Ba Khabar Farooqe Aazam Hain.
Hue Kitne Musalman Dekh Kar Baitul Muqaddas Me
Hai Khadim Oonth Par Paidal Magar Farooqe Aazam Hain.
Hua Dariya -E- Neel Ek Aapke Farmaan Se Jaari
Ke Sultane Bisaat -E- Behrobar Farooqe Aazam Hain.
Ghareebon Bekason Ki Dastageeri Ke Liye Aksar
Akele Gasht Karte Raat Bhar Farooqe Aazam Hain.
Jihaade Zindagi Ho Adl Ho Ya Zuhd -O- Taqwa Ho
Nabi Ka Aayina Al Muqtasar Farooqe Aazam Hain.
Khuda Aur Mustafa Ne Unki Jab Tauseef Farmayi
Kidhar Aazam Ka Chota Munh Kidhar Farooqe Aazam Hain.