Wohi Jalwa Numa Hai Mai Nahi Hoon

Wohi Jalwa Numa Hai Mai Nahi Hoon (Hz Ulvi R.a)

Kalaam of Ulvi

Wohi Jalwa Numa Hai Mai Nahi Hoon
Ye Shaane Kibriya Hai Mai Nahi Hoon.

Meri Surath Me Aakar Aur Koi
Tamashe Karraha Hai Mai Nahi Hoon.

Banakar Bhes Insaan Ka Kisi Ne
Tumhe Dhoka Diya Hai Mai Nahi Hoon.

Khuda Kehti Hai Jisko Ahle Duniya
Wo Mujhme Bolta Hai Mai Nahi Hoon.

Pate Ki Baat Kehta Hoon Samajhle
Yehi Mera Pata Hai Mai Nahi Hoon.

Yehi Hai Dekhle Ulvi Yehi Hai
Ye Mirza Kehraha Hai Mai Nahi Hoon.

Jo Mujhme Bolta Hai Mai Nahi Hoon
Ye Jalwa Yaar Ka Hai Mai Nahi Hoon.

Yaad Hai Shewae Ishqe Sitham Aijaad Mujhe(Kamil)
Yaad Hai Shewae Ishqe Sitham Aijaad Mujhe(Hz Kamil Sahab Qibla)
Yaad Hai Shewae Ishqe Sitham (Hz Kamil Rh)
Rahe gayi Sirf Yehi Ek Dua Yaad Mujhe
Wo Salamath Rahe Jisne Kiya Barbaad Mujhe.

JOAP
Raat Din ERehgayik Naya Khel Nazar Aata Hai
Yaad Hai Shewae Ishqe Sitham (Hz Kamil Rh)
Rehgayi Sirf Yehi Ek Dua Yaad Mujhe
Wo Salamath Rahe Jisne Kiya Barbaad Mujhe.

Raat Din Ek Naya Khel Nazar Aata Hai
Yaad Hai Shewae Ishqe Sitham (Hz Kamil Rh)
Yaar Aghyaar Me Nazar Aaya
Gul Hamein Khaar Me Nazar Aaya.

Jisko Waaiz Chupaye Phirte The
Mujhko Bazaar Me Nazar Aaya.

Ghour Jab Maine Ki To Ek Rishta
Sajj -O- Zannaar Me Nazar Aaya.

Be Takalluf Jo Chadhgaya Mansoor
Kya Use Daar Me Nazar Aaya.

Jaan Di Bulbulon Ne Jab Gul Par
Tab Wo Gulzaar Me Nazar Aaya.

Paa Barahna Jo Hogaye Moosa
Kya Unhein Naar Me Nazar Aaya.

Dhoonda Jisko Jahan Me Wo Na Mila
Wo Dile Zaar Me Nazar Aaya.

Uss Safayi Pe Jaan Dete Hain
Munh Jo Talwaar Me Nazar Aaya.

Jalwaye Haq Ghulam Ko Ulwi
Apne Sardaar Me Nazar Aaya.

Yaar Aghyaar Me Nazar Aaya