Rasoole Paak Ke Dildaar Hain Ghareeb Nawaz

Rasoole Paak Ke Dildaar Hain Ghareeb Nawaz

Kalaam of Hazrath Hussain Shujauddin Siddiqui (Izzath) R.a

Rasoole Paak Ke Dildaar Hain Ghareeb Nawaz
Tamaam Hind Ke Sarkar Hain Ghareeb Nawaz.

Tere Karam Ke Talabgaar Hain Ghareeb Nawaz
Ghulam Haazir -E- Darbar Hain Ghareeb Nawaz.

Jo Maanga Usko Diya Aur Na Maanga To Bhi Diya
Ataa Me Abre Guharbaar Hain Ghareeb Nawaz.

Tumhare Rukh Ko Jo Dekhe Wo Ya Durood Padhe
Tumhare Rukh Ke Parastaar Hain Ghareeb Nawaz.

Hamare Saamne Aaja Dikhade Apni Jhalak
Tere Tawaaf Ko Taiyyar Hain Ghareeb Nawaz.

Tere Baghair Hamari Hai Zindagi Bekaar
Ham Apne Aap Se Bezaar Hain Ghareeb Nawaz.

Hamari Jaan Fida Tumpe Aye Muhibbe Khuda
Tumhare Taalibe Deedar Hain Ghareeb Nawaz.

Dikhado Rukh Ko Chupoge Kahan Talak Khwaja
Tumhare Hijr Me Beemar Hain Ghareeb Nawaz.

Shahe Arab Ki Musawwir Ne Kheench Li Tasweer
Shabeeh -E- Sayyade Abraar Hain Ghareeb Nawaz.

Bure Hain Ya Ke Bhale Tu Sambhal Le Khwaja
Tere Gale Ka Magar Haar Hain Ghareeb Nawaz.

Maze Ka Waqt Hai Khwaja Ko Dekhle Izzath
Ke Jaise Ahmade Muqthar Hain Ghareeb Nawaz.

More from Manqabat -E- Khwaja Ghareeb Nawaz R.A

More kalaam of Hazrath Hussain Shujauddin Siddiqui (Izzath) R.a

  • Ajab Hai Manzar Ke Ishq Tera
  • Ajmer Ke Waali
  • Aur To Kuch Bhi Nahi Paas Hamare Khwaja
  • Choote Na Kabhi Tera Daman
  • Dare Khwaja Pe Sawaali Ko Khada Rehne Do
  • Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja