Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha
Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha
Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha Aaya Hai
Jiske Noor Se Aalam Saara Jagmagaya Hai.
Tu Ne Rehmate Haq Se Noor Haq Ka Paaya Hai.
Ghaib Se Nida Aayi Aamena Mubarak Ho
Thi Nida Shabe Asra
Udnu Minni
Aye Mehboob
Be Dhadak Chale Aao Hamne Hi Bulaaya Hai.
Aql Sabki Hairan Hai Dekhkar Shahe Deen Ko
Innama Anaa Basharum Mislukum
Ke Parde Me
Ye Bashar To Hai Lekin Kyun Na Inka Saaya Hai.
Haq Ne Apne Jalwon Ka Aayina Sajaya Hai.
Ya Nabi Mai Tumpar Kyun Na Jaano Dil Fida Kardun
Hamne Aapko Paakar To Khuda Ko Paaya Hai.
Damane Nabi Aashiq Ab Na Hamse Chootega
Hamne Unse Jo Maanga Wo Khuda Se Paaya Hai.
Gar Na Karam Ho to Unka Zindagi Fuzool Hai
Pesh Hue Buth Saare Gir Kar
Gar Na Karam Ho Unka Zindagi Fuzool Hai
Godh Me Aamena Ke Allah Ka Noor Hai.
Paash Hue Buth Saare Gir Kar
Zikre Nabi Me Duniya Saari Mashghool Hai.
Duroodo Salaam Ka Arsh Se Nuzool Hai.
Hooro Malaik Sar Hain Jhukaaye
Naate Muhammad Kehna Ishrath
Pesh Huwe Buth Saare Gir Kar
Zikre Nabi Me Duniya
Saari Mashghool Hai.
Sahar Ka Waqt Tha Masoom Kaliyan Muskurati Hain
Hawayen Khair Maqdam Ke Tarane Gungunati Hain
Khushi Ke Geet Gaaye Jaarahe Aasmanon Par
Duroodon Ke Tarane Hai Farishton Ki Zubanon Par
Machi Hai Dhoom Aamena Ke Ghar Me
Rasoole Aali Maqaam Aaye
Bada Mubarak Hai Aaj Ka Din
Jahan Me Khairul Anaam Aaye.
Jabeen Adab Se Jhuki Hai Sab Ki
Hai Khoob Aamad Habeebe Rab Ki
Zameen Chamke Na Kyun Arab Ki
Wo Banke Husne Tamaam Aaye.
Hai Mustafa Ambiya Ke Rehbar
Durood Unpar Salaam Unpar
Salaami Den Kyun Na Sab Payambar
Payambaron Ke Imaam Aaye.
Khula Hai Maikhanaye Muhammad
Tumhe Mubarak Ho Peene Waale
Huzoor Daste Karam Se Apne
Pilaane Wehdath Ka Jaam Aaye.
Khuda Ka Baad Unka Martaba Hai
Ye Shaane Khairul Wara To Dekho
Ke Jab Bhi Duniya Ke Lab Pe Aaye
Khuda Ke Baad Unka Naam Aaye.