Mori Bhi Rang Do Chunariya

Mori Bhi Rang Do Chunariya (Hz Baba Fareed R.a)

Kalaam of Baba Fareed

Mori Bhi Rang Do Chunariya
Baba Mai Tori Pooja Karungi
Ganje Shakar Saawariya
Baba Mai Tori Pooja Karungi.

Mangti Hoon Khaali Na Modo
Tu Maharaj Mora Mai Daasi Tihaari
Mujh Paapan Ki Aas Na Todo
Daasi Ki Leejo Khabariya
Baba Mai Tori Pooja Karungi.

Aisa Joganiya Ko Madhwa Pilado
Madhwa Pilayi Ke Mori Sudh Budh Gawado
Girah...

Na Chorungi Baba Mai Tori Dahariya
Muhammad Ke Sadqe Me Rang Do Chunariya.

Pari Hoon Mai Aake Dwaaran Pe Tore
Chalke Na Man Ki Gagariya
Baba Mai Tori Pooja Karungi.

Na Karti Hoon Binti Na Padhti Hoon Paiyyan
Pakad More Sabir Ke Sadqe Me Gaiyyan
Mujhe Apne Dwaaran Ki Jogan Banakar
Mori Laaj Rakh More Baanke Sawariya.

Girah...

Mai Duniya Ke Dukh Ki Sataayi Hoon Baba
Liye Aas Dwaaran Pe Aayi Hoon Baba
Abhagan Hoon Baba Suhagan Banungi
Jo Padjaaye Ek Baar Tori Najariya.

Ganje Shakar Tum Jag Ujiyaare
Sab Dukhiyan Ke Taaran Haare
Mori Bhi Taaro Navariya
Baba Mai Tori Pooja Karungi.

Paakpatan Ke Baanke Saiyyan
Ganje Shakar Mori Pakdo Baiyyan
Kirpa Ki Kijo Najariya
Baba Mai Tori Pooja Karungi.

Ganje Shakar Mori Rang Do Chunariya
Aisa Rang Rang Do Rang Naahi Choote
Dhobiya Dhoye Chaahe Saari Umariya.

Mori Bhi Rang Do Chunariya (Hz Baba Fareed R.a)