Tere Dam Se Jahan Me Sawera Hua
Tere Dam Se Jahan Me Sawera Hua
Tere Dam Se Jahan Me Sawera Hua
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza
Tu Ne Tareeqe Insaan Ko Bakhshi Ziya
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Kya Karein Madha Khaame Gunahgar Ka
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza
Bul Ulaa Bul Hasan Jadde Ghousul Wara
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Sayyadul Asfiya Sarware Roosiya
Masdare
Innama
Matlaye
Hal Ataa
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Mamba -E- Sarwari Markaze Bartari
Satwat -E- Safdari Quwwate Haidari
Shar'a Ka Muqtadi Deen Ka Muqtada
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Haq Ta'ala Ke Mehboob Ka Janasheen
Shaahe Deene Wafa Taajdare Wila
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Bul Ulaai Rifaayi Ho Ya Shaazli
Naqshbandi Ho Chishti Ho Ya Quadri
Tere Qadmon Se Qaaim Hai Har Silsila
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Ghamzada Badr Se Jange Taaif Talak
Tere Kaandhe Se Neeche Na Utra Alam
Maan'na Hi Pada Tujhko Shere Khuda
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Manzile Fathe Khaibar Ke Peshe Nazar
Aapko Jab Payambar Ne Aawaz Di
Har Zubaan Ko Yadullah Kehna Pada
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Tere Aamal Samte To Seerath Bane
Tere Aqwaal, Aqwaale Fitrath Bane
Tere Khutbon Me Shaamil Hai Nutqe Khuda
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Aouj 13 Rajab Ki Mubarak Sahar
Deen Ki Taqweem Taaza Ka Aaghaz Hai
Batne Kaaba Se Suraj Tawallud Hua
Ya Ali Murtaza Ya Ali Murtaza.
Tere Dam Se Jahan Me Sawera Hua (Hz Aouj Yaqubi Rh)