Kabhi Aye Haqiqate Muntazir

Kabhi Aye Haqiqate Muntazir (Allama Iqbal)

Kalaam of Allama Iqbal

Kabhi Aye Haqiqate Muntazir
Nazar Aa Libase Majaaz Me
Ke Hazaaron Sajde Tadap Rahe
Hain Meri Jabeen -E- Niyaaz Me.

Tujhe Kya Milega Namaz Me.

Tera Dil To Hai Sanam Aashna
Jo Mai Sar Ba Sajda Hua Kabhi
To Zameen Se Aane Lagi Sada
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Ise
Tera Aayina Hai Wo Aayina
Ke Shikast Ho To Azeeztar
Hai Nigaahe Aayina Saaz Me.

Na Kahin Jahan Me Amaan Mili
Jo Amaan Mili To Kahan Mili
Mere Jurme Khaana Kharaab Ko
Tere Afw Banda Nawaaz Me.

Na Wo Ishq Me Rahi Garmiyaan
Na Wo Husn Me Rahi Shauqiyaan
Na Wo Ghaznawi Me Tadap Rahi
Na Wo Kham Hai Zulfe Ayaaz Me.

Kahun Kaise saqi Mohe laag lagi
Mohe Pee Ki Najariya Waar Gayi
Maine Laaj Ka Ghoongat odh kar hoon
Piya Jeet Gaye Mai Haar Gayi
Aao Saqi Mere chau Sar Khelen pee apne Ke Sang
Jeet Gayi To Piya Milenge Haari To Pee Sang
Din Raat Tora Dekhun Sapna
Mori Preet ki Laaj Piya Rakhna
Mera Sab Kuch tum hi to ho Sajna
Mai To Tan Man Apna Waar Gayi.

Ab Aao Piya Aa Bhi Jaao
Sundar Mukhda Dikhla Jaao
Kyun Apni Daasi Se Roothe ho
Mai To Raah Talak Tori Aa hi Gayi.

Mori Neend Gayi Mora Chain Gayo
Mai To Jeewan Apna Waar Gayi.